BINA TUITION KE ENGLISH BOLNA KAISE SIKHEIN

Hey dosto ,
English ek international language hai Jise sikhna bahut zarori hai.



Aap is post me Janoge kaise ham bina tuition ko jaye English bolna sikhsakte hain.

Apko ye tips ko follow karna hai.

1.READ ENGLISH NEWS PAPER DAILY

Apko daily English news paper padhna hoga . isse apko bahut madad milegi apka knowledge bhi badega jaise apke around kya kya horaha hai aur apki English bhi improve hogi.
English news paper kaise padhen?
Agar apke pass time ho to pura news paper padhen .
agar apke pas time kam hai to news papers ki headings ko hi padhein aur yad rakhein usko apko srif padhna nahi hai balke usme Jo hard words hai Jo apko samajh n arahe unko Apko notebook me likhna hai aur uski meaning bhi likhna hoga aur usko jab time mile yaad karliya Karen .

2.WATCHING ENGLISH NEWS


English news dikhen isko dekhne se aap ye sikhoge ke kaise English boli jati jise ham observe karna kahte hain jaise bachpan me ham apni mother tongue ko observe karke bolna sikhen.
Eng news ko observe karne ka ye bhi fayeda hoga ke apko pata chalega ke kya kya horaha hai desh aur vedesh me.

3.GROUP DISCUSSION


Dosto ye ek bahut hi acha tareeqa hai English bolne ka .
Apne doston ko jama karo Jo English sikhna chahte hain 
Phir kisi topic pe English me discuss karo isse aap thora thora karke English bolna sikhoge. 


4.DAILY WRITE

Aap subah se sham tak kya kya kare isko aapko separate diary ya notebook me english me likhna hai isse bhi apki English me improvement hoga.
Iske aur bhi faida hain Jaise apki hand writing improve hogi aur isse apko pata chalega ke apka time kahan waste horaha hai etc


5.THINK IN ENGLISH

Dosto English me sonchnay se hame English bolne me bahut asani hogi.
Jo bhi sonchna ho wo English me hi soncho iska ye fayeda hoga ke Jab ham kisi se English me  baat karenge to hame bahut
Jald English me bolna ajaega.wo isliye ke ham English sonch sonch kar practice karchuke honge. 


6.ENGLISH GRAMMAR 

English Acchhi tarha bolne keliye English grammar ka ana bahut zarori hai. English grammar keliye apko English grammar book ki zarorat padegi . Jisme tense bahut important hai.
Aap English grammar book lekar daily padhte rahe .

7.CHATING 

Jab kabhi social media par jaise Facebook , WhatsApp , Twitter ,Etc. par  chat karo to srif English me karne ki koshishi karo.
Isse bhi apki English improve hogi.

8.ENGLISH CONVERSATION

Jab Aap upar bataye tips ko follow karenge to ab apko 50% English Ajaegi Ab apko English me baat karna hai Jisko English conversation kahte hain.
Kisse  Karen conversation???

•Apka dost Jo English acchha bolta ho uske sath Aap conversation karsakte ho.

• customer care ke sath bhi Aap conversation karsakte ho,
Jaise Apke mobile sim ke customer se , Jaise kisi ghar me istemal karne wale product ke cover pe customer care toll free bolke number ata us number ko call lagakar Aap English me conversation karke product ki jankari lesakte ho Etc..



Dosto ye thay simple se tips Jisko follow 
Karke koi bhi apni English Improve karsakte hai.
Agar ye post Apko Achi lagi to zarore share Karen.

Comments