Book Stall And Stationary Business Idea

Hey dosto, Aaj ki post me ham janenge Book stall & stationary business ke bare me , To chaliye start karte hain.


                    Image credits: pixabay


Dosto books , notebooks aur stationary ka istemal schools, colleges aur offices me hoga hai uske sath students , teachers aur dusre professional bhi use karte  hain aur ye ek accha business sabit hosakta hai.




  • Kitne Paise Lagsakte Hain



Is business ko karne keliye Apko 1- 2 lakh tak lag sakte hain . subse se pahle to dukan ka rent lagega Jo ke owner ko Advance me 50,000 tak dena pasta hai. Ye paise owner rakhleta hai jab ham ye dukan chorte hain tab WO ye paise wapis karte hain , Iske alawa monthly rent 3-5 hazar tak hosakta hai uske bad apka dukan ke liye material ki zarorat padegi Jaise ke counter , book shelf, books ,notebooks, aur stationary etc. Is keliye Apko 50-70 hazar tak kharcha lagsakta hai ,ya isse zyada bhi lag sakta hai.

  • Dukan Ke Liye Acha sa (Location )Jagah Dekhein


Kisi bhi business ki success keliye uska location bahut ahmiyat rakhta hai.
Dukan keliye Aise Jagah Dekhein Jo Schools, Colleges ke pass ho ya Aisi Jagah Jahan par koi bhi stationary ki dukan na ho aur logo ko uski zarorat ho.



  • Iss Business Ka Scope



Dosto Ye ek aisa business hai jiska scope bahut hai , starting me thora mehanat aur sabr se kaam Lena hoga , had students aur teachers ko books ki zarorat padti hai , har office keliye stationary ki zarorat padegi is business me profit bahut hai bas apka business location sahi jadah hona chaye ..


  • Ek Suggestion Apke Liye



Aap Aisa bhi karsakte hain ke Aap Kam rate me purane books lekar thora rate badha Karen usko bech sakte ho Iske sath sath apka dusra bhi fayeda hoga. Aur isse gareeb students ko bhi fayeda hoga.



Dosto Apko ye post kaise laga zarore bataye aur is post ko share Karen.

Ye bhi padhe:-


Comments