Time Management Tips

Hey Dosto,





Time Management bahut zarori  hai successful banne keliye,  Is post me Aap Janoge Kaise ham Time Table  banaye aur Follow Karen.

To chaliye Jante hain Time Management Tips
  • Make To Do List

Subse pahle to ek list banaye Jisme Aap ko Jo kuch karna hai wo Likhein , Isse Apko Ek direction Milega .

  • How To Make To Do List

Jab List banale to usko divide Karen Aur Name de like A, B, C .
A List me Wo kaam Ya task Likhein Jisko  Karna bahut Zarori Hai agar  Wo nahi kiya jaye to Nuqsan hoga.

Isi tarha List B me Wo work ya task Likhein Jisko na Karne se Nuqsan ho bhi sakta hai Aur Nahi bhi Hosakta.

List C me Wo kaam Likhein Jisko Karne Se Fayeda hoga agar na kiya jaye to Nuqsan Nahi Hoga.

Ab List A se Apne kaam ki shuruwat karen
                   
 

  •  To Give DeadLine

Ye Time Management ka important part hai.
Kisi ki bhi kaam ko jald pura karne keliye usko ek time dena hoga , Jaise ke Mujhe ye Kaam 2 ghante me Finish Karna hai Aur mai karke Rahonga.

  • Plan Every Day In Advance

Aap Morning Jald uthkar Aaj kya kya karna hai plan karsakte ho . Agar Ek din pahle night me Sone se pahle hi Plan Karke sojaye to subah uthte hi Aap apna kaam Asani karsakoge.


  • Take Action To Your Plan

Action Is The Key To Success.

G han dosto Agar Aap kamyab hona chahte ho to Apko Action Lena zarori hai warna Apka Plan srif Ek paper pe hi Rah jaega.

  • Take Break Every Task

Agar Aap Apna kaam bina Thake Asani se karna chahte hain To Apko har task ke baad break Lena chahye. Ye Apko next task karne me bahut madad dega.


  • Make It A Habit

Isko Apko Regularly Follow karna hoga aur isko Apni Adat banani hogi , Thore hi din me Apko difference dekhega.

Ye bhi pardhe.
Mobile se free Recharge kaise karen

Network Marketing best App

Umeed Karta hon Dosto Apko ye Post Achchi Lagi Hogi Agar Achchi To Apne Dosto se zarore Share Karen.

Comments