DUDH KA KAROBAR KAISE KARE

MILK BUSINESS KAISE KARE
Dosto is post me baat karenge milk business ke bare me.
Milk business me zyada risk bhi nahi hai ke nukhsan hojaye. Bahut hi asani se ye business start karsakte hain. 
Chaliye jante hain is business ko karne keliye kya kya lag sakta hai.






INVESTMENT:

Milk shop business me apko zyada investment ki zarorat nahi padegi.
Apko iss business ko karne keliye shop ki zarorat padegi. Agar Aap shop rent par lete hain to apko advance me owner ke pass security deposit karna padega jo ke 50,000 se 1 lakh  ya phir 2 lakh bhi wahan ki market ki hisab se  hosakta hai.
Iske alawa shop me rakhne keliye tables  aur buckets, weighing materials aur dusri cheezaun keliye 20,000 se 25,000 lag sakte hain.
Total dekha jaye to Aap milk business, shop rent par lekar 1,25,000 me shru karsakte hain. Agar shop apki khudki hai to ye business aap 25-30,000 me Aasani se start karsakte hain.

HOW TO BUY AND SELL MILK:

Milk kaise kharide aur bechen
Apko doodh keliye unlogo se contact karna hoga jinke paas gaye aur bhains hai. Agar wo khud doodh lekar shop par ate hain to achi baat hai agar nahi ate to apko  doodh lakar bechna padega.
Agar apke pass doodh sell nahi horaha hai to koi baat nahi app doodh ko dahi me convert karke dahi bech sakte hain. Doodh ko khawa banakar bech sakte ho. Doodh ko khawa bankar bech sakte ho. Aur doodh ko ghee banakar bech sakte ho. istarha Aap srif ek doodh se itne item apne shop me bech sakte ho.

LOCATION:

Dairy form or milk shop keliye apko aisi jagah dekhna chahiye jahan par koi bhi milk shop nahi hai aur logo ko milk lane keliye door tak jana padta ho. ya aisi jagah jahan par bahut sare ghar ho ya phir market me aap milk shop khol sakte ho.

dosto ye tha milk business ki jankari. doodh ke karobar me aur kin cheezaun ki zarorat padegi Aap comment karke zaror bataye.....

Comments