IDLI VADA DOSA BUSINESS PLAN IN HINDI

IDLI VADA DOSA BUSINESS IDEA

Dosto food business hamesha se hi ek profitable business raha hai jinme ek Idli vada dosa business bhi hai is business ko karke log mahina 2 se 3 lakh kama rahe hain.
Agar Aap ye business khud nahi karna chahte ho to ap kisi aur ko hire karke usse ye business karwakar business chalasakte hain, magar ye insaan imaandar hona chahiye.

To chaliye jante hain is business ko karne keliye kya kya requirements hai.
INVESTMENT:
Agar ham investment ki baat karen to isme 2 tarha ki investment hai ek hai one time investment aur dusra daily investment.
One Time Investment me ate hain food stand or thela gadi jiska amount 6000 se 8000 tak hosakta hai, 3,4 chairs ki bhi zarorat padegi jiska amount 1500 hosakta hai. Idli Vada Dosa cookers ke 1200 hosakte hain gas stove ke 5000 aur bhagone plates ke 3000 hosakte hain overall dekhen to One time investment me 16 se 17000 lagenge.
Daily Investment me dekhen to Idli Vada Dosa banane keliye Rice, Dal aur dusri Cheezein lagegi jiska amount 2000 ke aspas hosakta hai aur ye depend karta hai ke Aap kitna banarahe ho.
Agar Apko idli vada dosa banana nahi ata to Aap ek cooker bhi rakhsakte ho jo idli vada dosa bana sakta ho.iska kharcha alag se lagega.
over all dekhen to Aap food stand thela gadi par ye business 20,000 se 25,000 me asani se start karsakte hain.
Agar Ap ye business shop rent par lekar karoge to uska rent alag se lagega owner ke pas security deposit karna padega joke 50,000 se 1 Lakh tak hosakta hai. Mai apko suggest karunga ke Aap pahle thela gadi food craft laga kar ye business karen aur jab ye business grow hojaye aur regular customer ane lage to Aap usi jagah ke aspas shop rent par lekar permanent karden.

LOCATION:
Agar ham location ki baat karen to Idli Vada Dosa business keliye aisi jagah per food stand lagaye jahan schools, colleges aur market ho, ya circle jahan hazaraun log ate jate ho aur yahan par koi idli vada dosa ka stand na ho aisi jagah par Aap food stand lagaye.

PROFIT:
Profit ki baat karen to idli vada dosa business me bahut sara profit hai, Manlo ek plate idli vada 20Rs me hai aur dosa 30Rs me Agar Aap din me 50 plate vada, 50 plate idli aur 50 dosa sell karte ho to idli vada ke 2000 ayenge aur dosa ke 1500 ayenge total 3500 ki income hogi. idli vada dosa banane ka kharcha 1500 nikalenge to 2000 ka profit hoga.

Doston ye tha idli vada dosa business plan agar apko lagta idli vada dosa business keliye aur cheezaun ki zarorat padegi to wo aap comment karke batasakte hain.
Thankyou!

Comments

Post a Comment