Dosto Napoleon Hill think & grow rich ke Author hain wo
kahte hain wo ke kuch saal pahle mera ek business associates bimar
hogaya uski halat din ba din bigadti gai akhirkar use operation keliye hospital
me jana pada, doctor ne mujhe chitauni de ke uske zinda bachne ke asaar bahut
kam hai, magar ye doctors ka kahna tha, mareez ka nahi jab use operation
theater me lejaya jaraha tha to usne dheeme se mujhe se kaha chinta mat karo
chief mai kuch hi dino me hospital se bahar Ajaounga. Nurse ne meri taraf daya
se dekha. Magar mareez sahi salamat wapis laut aya jab sub kuch thik hogaya to
uske doctor ne kaha uske zinda bachne ka ek hi karan hai uske zinda rahne ki
iccha.
Is waqia se hame ye sabaq milta hai.
* Jab apke mind me kisi cheez ko pane ki shidat se iccha ho
to wo apko milti hai.
* Napoleon Hill ka business partner ki bimari itni badgai ke
doctors ne bhi kaha ke wo bach nahi paega lekin jo bimar tha usne umeed lagai ,
wo na umeed nahi hoa aur wo bach gaya.
* Hame jab bhi musibat ati hai koi pareshani ati hai to ham
baghwan/khuda se shikayath karne lagte hain jo ke bilkul galat baat hai zindagi
se na umeed hojate hain jiske karan hamari mushkil aur badh jati hai.
* Doctors ne bawajud iske wo nahi bachega phir bhi koshish
karke uska operation kiya aur mareez ne bachne ki umeed lagai, mayus na hoa aur
jeene ki icha paida ki aur wo bach gaya.
* Jab koi bimar hojaye aur wo bas yuhi sonchne lag eke ab
mai bimar hochuka hon aur mai nahi bach paunga to wo nahi bachega, kyuke usne
khuda se bachne ki koi umeed hi nahi lagai. Jab bhi problem musibat aye to
bhagwan se umeed lagaye prarthna Karen, khuda ke yahan der hai Andher nahi.
Dosto comment karke bataye ke apko ye post kaise
laga.thankyou
Comments
Post a Comment