Mere dost ab mai sudharchuka hon mai apne jeene ki wajah jaan chukka hon apne goal set karchuka hon
Ab mai deewano ki tarha galiyun me bazaraun me nahi phirunga mujhe kuch karna hai bada admi banna hai.
Mai ye jaanchuka hon time bahut qeemti hota hai gaya waqt wapis nahi ata isliye mai time barbaad nahi hona dunga
Mujhe kuch karna hai mujhe apna muqam paida karna hai. Meri is halat pe log mujh pe haste hain mujhe meri is halat ko badalna hai. Apna muqam banana hai
Tum to jante hi ho ye zindagi bahut choti hai isme hi bada kaam karna chahta hon
Kuch aisa karna chahta hon ke agar mai mar bhi jawo to bhi log mere kaam se fayeda utha sake
Mai ek acha insane banna chahta hon mai har buri adataun ko chorna chahta hon
Mai logo ki madad karna chahta hon mai bhookaun ko khana khilana chahta hon
Mere dost ab mai zyada time apne goal apne maqsad ko dena chahta hon mai ab tumhare saat zyada waqt nahi guzar sakta meri mano tum bhi apne goal decide karo aur usko pane me lag jawo ye zindagi ko kuch naam do yuhi barbaad na karo
Jab ham dono apne goals me kamyab hojaoge tab ham apna time ek sath beetayenge lekin is waqt hame apne goal ko paana hai
Hamare maa baap hamse ye umeed lagaye huye hain ke hamara bacha hamara naam roshan karega kushhal zindagi jeeyega budhape ka sahara banega, mai apne maa baap ko dhoka nahi dena chahta hon.
Comments
Post a Comment