Multiple business in one shop

Is post me Aap janoge aise 3 businessess ke bare me jo ap ek hi shop me start karsakte hain aur ye teeno karobar se Aap achi khasi income generate karpaoge,

Dosto ye teen  vypar ye hain pahla hai online form filling business dusra hai Xerox business teesra hai books and stationary business

Agar apko online form filling karna nahi ata to aap youtube se sikh sakte han iske alawa aap kisi online form filling shop me jake sikh sakte hain

To chaliye jante hain ke ye teeno businesses ko ek hi shop me kaise setup karna hai

Subse pahle apko ek badi shop rent par lena hai , apko ek computer system aur ek aisa printer lena hai jisme scanning printing aur Xerox teeno hon aur kuch stationary saman lakar rakhna hai

Jab apki shop par customer ane lagenge to usme se kuch to ye zaror puchenge ke Xerox bhi karte ho kya? Isitarha jab aap ki shop par Xerox karane keliye aur customer ane lage to apko ek badi fast Xerox machine ki zarorat padegi joke ap second me bhi lesakte ho iske alawa aap lamination waqaira bhi karsakte ho iske baad customer ki requirement ke hisaab se stationary saman lakar rakhen.

Total investment ki baat karent to Aap ko shop rent  par lene keliye apko security deposit karna padtahai jo ke 50,000 se 1 lakh tak ya isse zyada hosakta hai. 

Computer system agar naya loge to 15000 se 20000 me miljaega aur agar second me loge to 8 se 10000 me miljaega . 

ek aisa printer jisme printing scanning aur Xerox teeno ho 10000 se 12000 me mil jaega aap online bhi purchase karsakte ho . 

stationary saman keliye  3 se 5 hazar lagenge counter table chairs aur shelves keliye 13000 se 15000 lagenge . lamination machine keliye      1200 se 1500 lagenge

Location: Agar ham location ki baat Karen to in teeno business keliye apko schools aur colleges ke pass shop dekhna chahiye ya aisi jagah jahan par govt offices ho etc

Profits and lossess in these businesses: Waise to har business me profit aur loss hota rahta hai lekin kuch aise businesses bhi hote hain jo hamesha profits me hote hain as compare to others businesses is businesses me loss ke chances bahut kam hota hai aur isme investment bhi kam lagti hai. 

Comments