5 RULES OF SUCCESS
Har vyakti safal hona chahta hai dunya ki har cheez ki tarha kamyabi bhi muft nahi milti hame iski qeemat ada karni padti hai.
Aaj ki is post me ham janenge aise 5 rules jo success ko pane keliye bahut zarori hai in 5 rules ko follow karke aap kisi bhi field me success pasakte hain chahe aap doctor banna chahte ho ya scientist ya phir business man.
Rule no 1: ALWAYS THINK BIG
Bada sonchne se, bada khawab dekhne se apko koi nahi roksakta sublog zindagi me kahin na kahin kabhi na kabhi kuch bada karne ka sonchte hain magar bahut kam log in khawab ko sach karpate hain, hamesha bada sonchen bada khawab dekhen jinke bade khawab hote hain unke safar bhi mushkil hota hai is safar me apko rukna nahi hai bas bade khawab dekhna na choren in khawabo ko pane ki khushi bahut badi aur shandar hoti hai.
Bada khawab dekhne ka aur bada sonchne ka ye fayeda hoga ke manlo aap india ki subse badi company kholna chahte hain agar aap india ki badi company nahi karpaye to atleast state ki badi company to bana hi loge aur agar state ki bhi nahi bana sakte to district ki badi company to zaror bana paoge.
Ek aur example batadun ke apka target IAS officer banna hai aur aap uski tayari shru kardete ho aur usme pass nahi bhi hoge to bhi aap is qabil ho hi jaoge ke dusre competitive exam asani se pass karsakte ho. Isliye hamesha bada sonchen aur bada khawab dekhen.
Rule no 2: MANAGE YOUR TIME
Dunya ka subse bada khazana time hai jo ke subko equal diya gaya hai kamyab log waqt ki ahmiyath ko jante hain isliye wo apna time bekar kamo me barbaad nahi karte waqt ka sahi istemal hi apko kamyab bana sakta hai agar is dunya me kuch alag karna hai aur kis bade muqam ko pana hai to phir dunya se kuch zyada hi alag andaaz me karna hoga isliye mehnat karna na choren lagatar mehnat karne wale ko kamyab hone se koi nahi roksakta hia mehnat chahe thori hi ho lagatar ki jaye to kamyabi ka milna lazim hai agar koi time waste karega to time bhi usko barbaad karke chorega isliye apne time ko manage Karen kab kya karna subka time table banalen aur usko follow Karen.
Rule no 3: LEARN FROM FAILURE
Mushkilaun aur failures se na daren apne aap par bharosa rahen khuda par bharosa rahen, aur yaad rahen kamyab log har nakaami ko apna ustaad maankar usse sikhte hain failure se wahi log darte hain jinhe apne manzil me ane wali mushkil aur kathin rastaun se dar lagta hai.
Dosto Thomas Edison hazaraun bar fail hone ke baad bulb ko invent kiya hai dosto agar Edison yeh sonchte ke mai fail hi horaha hon mai nahi banea paunga mujhe ye chordena chahiye to aaj bulb nahi hota Thomas Edison ne apne har failure se seekha hai aur balb invent kiya hai yaad rakhen apne failure ko accept karne apne failure se apni mistake se sikhen aur khudko aur better banaye.
Rule no 4: NEVER LOSE HOPE
Umeed na choren, hamesha umeed banaye rakhen, kuch aisa bhi hoga ke koi apko sahara na dega us waqr apko apne apko sambhalna hoga umeed totne na den sabar ko na choren dunya me bahut sare examples hain aap abdul kalam ka example lelain kistarha wo news paper dalne se lekar missile man banne tak umeed banaye rakehn aur hamare dish ka naam roshan kiya. Ek aur example dekhen wo hai hamare desh ko azaadi dilane wale freedom fighters jinhone akhri hattak koshish ki umeed nahi chora aur ladte rahe aur hamare desh ko azaad karaya. Yaad rakhen jo insaan hopless hojata hai wo haarne se pahle hi haar jata hai isliye hamesha umeed banaye rakhen, aage badhte rahen.
Rule no 5: KEEP PERSISTANCE
Kamyab log ziddi hote hain wo apne goal par focus karte hain aur koi kaam incomplete nahi rakhte hain jabke nakaam log jahan bhi nakaami ka saamna ho wo kaam adha chorkar naya kaam shru karte hain. Yaad rakhen jobhi kaam aap karrahe ho usko lagatar karte rahen tabtak karte rahen jabtak aap usme kamyab nahi hojate agar aap apna naam kamyab logo ki list me shamil karna chahte hain to apne zindagi me koi bhi kaam incomplete na choren job hi kaam Karen use shaandar tariqe se complete Karen . yaad rakhen success thori hi dur hoti hai aur log koshish karna band kardete hain jiske karan won a kaam hojate hian.
Comments
Post a Comment