BUSINESS BADHANE KE UPAY
Har business owner ki ye khawish hoti hai ke uska business din dugni raat chaugni taraqi kare. Zyada se zyada sales ho,lekin aisa nahi hota bahut kam hota hai aur wo nahi kar pate hain . Aaj ki post me ham janenge kaise apne business ko grow karsakte hain to chaliye shru karte hain.
Pahla business growth hack hai
1. “ Sell quality products ”
Jo aap bechrahe ho usme agar quality nahi hai to jaan len apki growth nahi honewali. Kuch waqt keliye apka business grow bhi hojaye lekin zyada din nahi chalega kharab products bech kar aap apna business grow nahi karsakte hain yaad rakhen hamesha quality products hi beechen quality service he dein chahe apko iski qeemat zyada kyu na karni pade, hargiz low quality, kharab mix karke bhi na beechen.
Dusra business growth hack hai
2. “ Realise your customer that he/she is in benefit ”
Manlo koi ek product ka price market me 500 rs hai aur wholesale me apko 460-470 rs me milta hai aur is product ko dusri shops wale 500 ke upar hi beechrahe hain . yahan par apko ye product market rate se kam me bechna hai, agar ap chahte hain ke customer apke pass hi aye to ye zaror Karen. Istarha karne se customer sonchega ke wo fayade me hai aur wo apki shop ke bare me apne relatives aur friends ko bhi batayega ke is shop me bahut kam rate me quality products milte hain. Istaraha apke customers badhne lagenge.
Teesra business growth hai
3. “ Give offers & Discounts ”
Jab bhi koi shaqs offers ka naam suntan hai to zaror wo usko dekhne jata hai chahe wo usko purchase kare ya na kare magar dekhta zaror hai aur business me hota bhi yahi hai ke 10 log dekh ke jatehain aur usme se 1 hi kharidta hai. Logo ko apki shop par lane keliye offers dete rahen aur kai bar aisa hota hai ke jo offers aap derahe hain uske alawa koi aur bina offer wala products kharid lete hain apni shop ke bahar bada discount & offer ka banner lagaye.
Offers kaise de?
Manlo apki readymade garments ki shop hai aap 2 cotton shirt ka offer de rahe ho. Apko ek shirt 300 rupaye me milta hai to Aap 2 shirt ka offer 700 rakhsakte ho. Wholesale price me offer hargiz na den isse apka nuqsan hoga.
Chautha business growth hack hai.
4. “ Bring your business online ”
Iss digital daur me agar apka business internet par nahi hai to apka business growth day by day kam hota jaraha hai apne business ko online lekar ayen, business directories par apna business list Karen jaise google my business, just dial etc. Google map par bhi apna business location setup Karen apne business ke bare me pura likhen apna business mobile number zaror dalen. Facebook par bhi apna business page zaror banaye aur jo bhi offers, new products waqaira ki post dalte rahen iske alawa aap facebook par apne budget ke hisaab se ad chalasakte ho. Facebook apko ye option deta hai ke aap kis city me kin logo ko ye ad dikhana chahte hain to iska fayeda uthaye.
Panchwan business growth hack hai.
5. “ Give Respect and talk politely with your customer ”
Jab bhi koi customer apki shop par aye to usse politely baat Karen usko respect den for example: manlo aap 2 dukaano par jate hain to pahli shop wala jate hi apko bolta hai ‘bolo kya hona?’ aur dusri shop wala bolta hai ‘boliye kya chahiye?’ Ab yahan par ham compare Karen to dusri shop wale ki baat karna acha lagraha hai to yaad rakhen jab bhi apki shop par customer aye to usse politely baat karna hai aur jo bhi customer aye chahe wo chota ho ya bada, gora ho yak ala ameer ho ya ghareeb use respect den, aisa karne se customer ke nazdeek apko alag hi pehchan hogi aur wo dobara apki shop par ana pasand karega.
Chahta business growth hack hai,
6. “ Keep clean & Hygienic shop ”
Business ko grow karne keliye ye bahut zarori hai ke apki shop clean ho. Shop clean nahi hogi to customer ko acha feel nahi hoga. Manlo apka ek restaurant hai koi customer akar baithta hai, bahut sari makhiyan table par ati hain table saaf nahi hota, aur restaurant me alag hi smell ati ho to kya wo customer dobara apki shop par ayega? Shayed hi kabhi ayega to hamesha dhyan den ke apki shop clean ho aur cutomer ko achi lage aur customer ko dobara apki shop par ane ka man kare.
LIKE > COMMENT>SHARE.
Comments
Post a Comment