AUTO RIKSHAW BUSINESS IDEA
Ek auto rikshaw driver apne ghar se auto lekar
passenger ko dhondta huwa apne shaher me ghumta rahta hai agar koi milta hai to
bitha leta hai aur agar na mile to chalta rahta hai.
Aaj ki is post me ham
janenge auto rikshaw business ke bare me Subse pahle ham janenge is business ko
karne keliye kya requirements hai Pahli cheez ye ke apko auto chalana ana
chahiye aur apke pass driving license ka hona zarori hai aur rahi baat auto
rikshaw ki to naya auto apko 2 se 2.5 lakh tak miljaenga aur second me dekhein
to condition auto rikshaw 70000 se 1.5 lakh tak miljaega agar ap auto kharidna
nahi chahte to kisi rikshaw rent par lekar bhi chala sakteho.
PROFIT AND LOSS
Ek
auto rikshaw driver diesel petrol ka karcha nikal ke 500 se 1000 rupaye tak
kamata hai kabhi kabhi aisa hota ke zyada bhi kamate hain aur kabhi aisa bhi
hota hai ke earning nahi hoti hai loss hota hai.
Kuch log kya karte hain ke auto
rikshaw kharidte hain aur daily ka amount fix karke usko rent par dete hain isme
dhyan ye karna hai ke auto rent par usi ko den jiko aap achi tarha jaante hain
Aur ek tariqa auto se paise kamane ka ye hai ke aap auto ke piche ya auto ke
andar ads lagakar bhi earning karsakte hain isme ap advertiser se monthly
charges ke hisaab se apne auto ke piche aur auto ke andar poster lagasakte ho…
Comment karke bataye ke ye information apko kaisi lagi,, Thankyou!
Comments
Post a Comment