The Cobra Effect:
Jab kisi problem ko solve karne ki koshish ki jati hia to problem aur badhjati aisi situation ko cobra effect bolte hain.
Iska naam cobra effect isliye rakha gaya hai kyuke iske peeche cobra snakes ki kahani hai jo ke kuch istarha hai………
Ye uswaqt ki baat hai jab hamara desh abhi azaad nahi hoa tha delhi me cobra saanpaun ki sankhya itni badh gayi thi ke logon ko ghar se bahar nikalna mushkil hogaya tha.
Aur cobra saanpaun ke kaatne se log marrahae the is problem ko solve karne keliye uswaqt ki british government action leti hai aur ye elaan karti hai ke jo koi bhi cobra sanp ko marlayega usko ek chandi ka sikah diya jayega
Is elaan ke baad logon ne samp maarna shru kiya aur bahut se saanp mare gaye situation sudharne lagi phir iske baad kia hua ke logon ne cobra saanp paalna shru kiya isitarha asaani se ssamp ko maarte aur reward lete jarahe the,
Jab ye baat government tak pahunchi to british government ne reward program wapis leliya. Reward program wapis lene se hua ye ke jo log saanp paal rahe the ab wo saamp unke koi kaam ke nahi rahe to unhone saampaun ko zinda chordiya jiski wajah se saampaun ki sankhiya dugni hogai aur situation aur bigad gai.
Lesson from this story:
Jab aap apne business ko badhane keliye koi offer derahe hon to is offer ko cobra effect se compare karke dekhen kahin log iska galat fayeda na uthaye.
Aur story ye bhi sikhati hai jab aap apni company me kisi problem keliye solution dhondrahe hon to solution ko implement karne se pahle team ke sath discuss zaror Karen.cobra effect apply karke dekehin isse apko pata chalega apka solution ya idea kitna effective hai.
Short term ke fayede aur short term ka solution dangerous hota hai.
Comment karke bataye ke apko is story se kya sikhne ko mila ……………….
Thankyou!
Comments
Post a Comment