WHAT IS SALES PROMOTION AND SALE PROMOTION TRICKS OR TECHNIQUE IN HINGLISH

 Sales promotion tricks janne se pahle in bataun ko jaanlen ke kabhi bhi customer ko dhoka na den, kharab product hargiz na beechen, agar us product me kuch fault hai to customer batayen aur kam rate me beechen magar customer  ko dhoka mat den.

Jab customer apke pas se kuch khariden to usko ye nahi lagna chahiye ke yahi product agar mai kisi aur shop se kharidta to kam rate me miljata customer ke sath win-win situation create Karen yani customer ko bhi fayeda ho aur apko bhi fayeda ho.

Bahut sare producers/marketers/shopkeepers, sales badhane keliye bahut se tricks use karte hain inhi tricks ko sales promotion kahte hain, aaj ki is post me ham inhe me se kuch tricks ke bare me janenge.

1. Pahla sales promotion trick hai : OFFER FREE SAMPLE.

Jab koi naya product ata hai to marketer aur producers uska sample free me offer karte hain us product ko promote karne keliye for example: Detergent sachet, soaps, biscuit etc. Ab ye to hogaya new products ke bare me ab kuch aisi services aur products bhi hai jo purana hone ke baad bhi free sample deta hai. For example; bahut sare institute 2-3 days ka free demo offer dete hain agar students ko acha lagta hai to wo join karleta hai isitarha bahut sare food vendor customer ko free me thoda food check karne keliye dete hain. Customer ko acha laga to wo kharidleta hai aur isme bahut sare customer buy karne keliye tayar hojate hain.

2. QUANTITY GIFT: Ye bahut hi popular sales promotion trick hai isme kya hota hai ke seller ye offer deta hai agar aap 10kg kharidoge  to mai apko 1 kg extra free me gift dunga yani kuch zyada kharidne par extra dena iska popular example hai BUY TWO GET ONE FREE ya phir BUY ONE GET ONE FREE is trick ke zariye aap bahut jaldi apna bacha hua stock bech sakte hain. Is trick ko manufacturers bahut use karte hain ye log kya karte hain ke product ka price badha dete hain and buy one get one free ka label lagakar sales karte hain aur isme bhi bahut sales hoti hai. Jab apki shop me bahut sara stock pada hua ho aur sale nahi horahi hai to aap is trick ko use karke sale badha sakte hain buy one and get one free ya phir buy two get one free ka offer desakte hain lekin yaad rakhen is tarha ka offer dene se apka profit hona chahiye loss nahi hona chahiye isliye iska price achi tarha calculate karke set karlen.

3. GIVE DISCOUNT: Jab apki shop ya company me bahut sara products stock hai to aap discount ka offer dekar stock clear karsakte hain, aap ek product par ya phir bahut sare products purchase karne par kuch percent discount ka offer desakte hain jaise 50% off 20% off etc aur ye baat dhyan me rakhen ke discount me dene se apko nuqsan nahi hona chahiye yani jab aap discount me becho to uska price wholesale rate se thora zyada hona chahiye.

4. REGULAR CUSTOMER CARD OR MONTHLY GIFT CARD : is trick me kya karna hai ke customer ko ek card dena hai aur har roz customer ko kuch to kuch purchase karne keliye kahna hai aur usme entry karte rahna hai jab customer regular one month tak purchase karta hai to aap usko gift de sakte ho jo uske purchase ke hisaab se us level ka gift dena hai.

5. SHIPPING or LUGGAGE CARRIER OFFER:  Bahut bar aisa hota hai ke customer zyada products purchase karna chahta hail eking customer ko purchase karne ke baad saman lekar jane keliye problem hoti hai isliye wo purchase nahi karparha hia jab aap free shipping ka offer denge to customer khushi se bahut sare products kharidega iskeliye apko ek trally auto rakhna hai jo customer ka saman uske ghar tak lejasake. Isse kya hoga ke jab bhi customer ko bahut zyada saman ek sath kharidna hoga to wo apki shop ko hi ayega.

6. SPECIAL DAY OFFER: isme ka karna hai ke koi special day ane se 2-3 din pahle us special day ke naam se sale rakhna hai jaise ramzan eid offer etc isitarha har special day par uske naam se offer rahenge to customer isse bahut attract hote hain, hota kya hai ke customer us special day keliye shopping karne nikalta hai aur jab usi special day ke naam se offer dekhta hai to uski taraf attract hota hai.

Ye the sales promotion tricks isme se apko kaunsi tricks achi lagi comment karke zaror bataeye aur agar aap isitarha ki tricks jante hain to wo bhi comment Karen,

Thankyou!

Foldable Table at best price :


Comments