safe investments with high returns in india 2022 in hindi where to invest money in india

Aap ne bahut sara paisa jama kiya hai aur aap usko invest karne ka sonchrahe hain to aap sahi jarahe ho, kyuke paison ko jama rakhne se aapko kuch nahi milne wala mai ye nahi kahraha hon ke aapko paise jama nahi karna chahiye apke paas emergency keliye cash jama hona chahiye lekin sara paisa jama karke rakhoge to aap ameer nahi ban paoge jama kiye huye paison  ko invest karna hoga tabhi aap ameer banne ki taraf khadam badhaoge to is post me mai apko bataunga aise 5 investment ideas joke risk free ya kahsakte hain ke isme low risk hai.




1. Invest in Gold & Silver :

 Aap google par jawo aur 10 gram gold aur silver ka price dekho, iske baad apni maa ya dadi ko pucho us waqt jab aap ne gold aur silver kharida tha to uska price kitna tha? Aapko jaan ke hairani  hogi uswaqt to price bahut kam tha lekin ab bahut zyada hai. Gold aur silver ka price hamesha badhta rahta hai bahut hi kam hota hai ke iska price ghatta hai to agar aap ek beginner hai to aap ko chahiye ke gold aur silver kharid kar rakhlen ane wale kuch salaun me iski qeemat badhegi.

2. Invest in Real Estate :

Zameen ki qeemat din ba din badhti jarahi hai aaj agar aap koi plot 6 lakh me lete hain to iski qeemat kuch mahine baad 8,10 lakh hojaegi kyuke har roz iski value badhti rahti hai to aap beginner hai to real estate me investment ek accha option hai. Aap koi building kharid kar usko kiraye par dete hain to uska bhi rent apko milta rahega.

3. Buy a passenger Auto or Taxi :

Isme mai apko ye nahi kehraha hon ke aap taxi ya auto chalao, isme apko kya karna hai ke apko ek taxi ya auto kharidna hai jo ke aap second me bhi kharid sakte ho, aur apne kisi jan pehchan wale ko kiraye par dedena hai aur daily ka rent lena hai istarha aap paisa bana sakte ho aur yaad rakhen isme apko pahchan wale ko hi kiraye par dena hai aur ye bhi dekhana hai ke logo ko auto keliye wait karna padta hai, kya auto taxi ki zarorat hai to phir apko auto kharid kar kiraye par dena hai.

4. Invest in Business :

Agar aap kahin job karrahe ho to aapko job karte hoye apna side business start karlena chahiye jis bhi business me interest rakhte hon wo Karen kyuke apko nahi malum ke apka boss kab apko job se nikal den aur age chalker yahi business apko ameer bana sakta hai, isliye apko apna time aur money dono invest karna hoga.

5. Invest in Digital :

Is investment me apka zyada paisa nahi lagega balke apka zyada time lagega, is digital daur me apko online bhi paise kamana chahiye.

a) Create a website/blog : agar aap kisi cheez me maher ho ya phir apke paas koi special knowledge hai ya kisi skill me expert ho to aap uske bare me likh kar paise kama sakte ho, aur blog banana bahut aasan hai, aap youtube par video dekh kar bhi blog banasakte ho isme apko srif domain kharidna padta hai server lena padta hai bas yahi apka money investment hai isme apko apna time invest karna padega, jab aapke blog par visitor ane lagenge to aap google adsence keliye apply karke paise kamaskate ho, google adsence ke alawa aap affiliate marketing se bhi earning karsakte ho.

b) Create Youtube Channel : Jo bhi aap blog par likh kar post karrahe ho isko aap video banakar youtube par apne channel par upload Karen, jab apke channel par monetization enable hojayegi to aap channel ko monetize karke adsence se paise kama sakte ho.

Comments